SEARCH RESULTS
Showing search results for "Duub"
Ghazal MATCHES FOR "Duub"
Ghazal
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
Duub kar marnaa bhii usluub-e-mohabbat ho to ho
vo jo dariyaa hai to us ko paar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Ghazal
Duub jaa.uu.n to ko.ii mauj nishaa.n tak na bataa.e
aisii naddii me.n utar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Ghazal
allaah-rii jism-e-yaar kii KHuubii ki KHud-ba-KHud
rangiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
chubhtii hai qalb o jaa.n me.n sitaaro.n kii raushnii
ai chaa.nd Duub jaa ki tabii.at udaas hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ajab hariif thaa mere hii saath Duub gayaa
mire safiine ko Garqaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Ghazal
Gazal ne bahte hu.e phuul chun liye varna
Gamo.n me.n Duub ke ham log mar ga.e hote
Bashir Badr
Ghazal
apne man me.n Duub kar paa jaa suraaG-e-zindagii
tuu agar meraa nahii.n bantaa na ban apnaa to ban
Allama Iqbal
Ghazal
mohabbat me.n jo Duubaa ho use saahil se kyaa lenaa
kise is bahr me.n jaa kar kinaara yaad rahtaa hai
Adeem Hashmi
Ghazal
mujhe rokegaa tuu ai naaKHudaa kyaa Garq hone se
ki jin ko Duubnaa ho Duub jaate hai.n safiino.n me.n
Allama Iqbal
Ghazal
Gazaal-e-ashk sar-e-sub.h duub-e-mizhgaa.n par
kab aa.nkh apnii khulii aur lahuu lahuu na milaa
Zafar Iqbal
Ghazal
is raaz ko kyaa jaane.n saahil ke tamaashaa.ii
ham Duub ke samjhe hai.n dariyaa tirii gahraa.ii
Muzaffar Razmi
Ghazal
duur se hii bas dariyaa dariyaa lagtaa hai
Duub ke dekho kitnaa pyaasaa lagtaa hai