SEARCH RESULTS
Showing search results for "GauGaa"
Sher MATCHES FOR "GauGaa"
Sher
rasm is ghar kii nahii.n daad kisuu kii de ko.ii
shor-o-GauGaa na kar ai murG-e-giraftaar abas
Qayem Chaandpuri
Sher
saKHt vahshat sii barastii hai shab-o-roz yahaa.n
ab to GauGaa-e-sagaa.n tak me.n asar ko.ii nahii.n
Jafar Askari
Sher
Allama Iqbal
Sher
ho ga.ii hai piir parvat sii pighalnii chaahiye
is himaale se ko.ii ga.ngaa nikalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
Allama Iqbal
Sher
lahja to badal chubhtii hu.ii baat se pahle
tiir aisaa to kuchh ho jise naKHchiir bhii chaahe
Gauhar Hoshiyarpuri
Sher
aabruu shart hai insaa.n ke liye duniyaa me.n
na rahii aab jo baaqii to hai gauhar patthar
Ameer Minai
Sher
hamaaraa KHuun kaa rishta hai sarhado.n kaa nahii.n
hamaare KHuun me.n ga.ngaa bhii chanaab bhii hai
Kanval Ziai
Sher
KHush-nasiib aaj bhalaa kaun hai gauhar ke sivaa
sab kuchh allaah ne de rakkhaa hai shauhar ke sivaa
Akbar Allahabadi
Sher
phuul barse kahii.n shabnam kahii.n gauhar barse
aur is dil kii taraf barse to patthar barse
Bashir Badr
Sher
is pe hairaa.n hai.n KHariidaar ki qiimat hai bahut
mere gauhar kii tab-o-taab nahii.n dekhte hai.n
Anees Ashfaq
Sher
chand logo.n kii mohabbat bhii Ganiimat hai miyaa.n
shahr kaa shahr hamaaraa to nahii.n ho saktaa
Afzal Gauhar Rao
Sher
hijr me.n itnaa KHasaara to nahii.n ho saktaa
ek hii ishq dobaara to nahii.n ho saktaa
Afzal Gauhar Rao
Sher
show-case me.n rakkhaa hu.aa aurat kaa jo but hai
guu.ngaa hii sahii phir bhii dil-aavez bahut hai