SEARCH RESULTS
Showing search results for "Gubaaro.n"
Sher MATCHES FOR "Gubaaro.n"
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
Waseem Barelvi
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Sher
kahaa.n milegii misaal merii sitamgarii kii
ki mai.n gulaabo.n ke zaKHm kaa.nTo.n se sii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Sher
pahle nahaa.ii os me.n phir aa.nsu.o.n me.n raat
yuu.n buu.nd buu.nd utrii hamaare gharo.n me.n raat
Shahryar
Sher
safar ke saath safar ke na.e masaa.il the
gharo.n kaa zikr to raste me.n chhuuT jaataa thaa
Waseem Barelvi
Sher
kisii galii me.n kiraa.e pe ghar liyaa us ne
phir us galii me.n gharo.n ke kiraa.e ba.Dhne lage
Umair Najmi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
Syed Sarosh Asif
Sher
tamaam KHaana-ba-dosho.n me.n mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharo.n ko palaT ke dekhte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
ye shahr hai anjaan kahaa.n raat guzaaruu.n
hai jaan-na-pahchaan kahaa.n raat guzaaruu.n
Ishrat Kiratpuri
Sher
dekhaa to sab ke sar pe gunaaho.n kaa bojh thaa
KHush the tamaam nekiyaa.n dariyaa me.n Daal kar