SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHanjar-e-qaatil"
Sher MATCHES FOR "KHanjar-e-qaatil"
Sher
kyuu.n shariik-e-Gam banaate ho kisii ko ai 'qatiil'
apnii suulii apne kaa.ndhe par uThaa.o chup raho
Qateel Shifai
Sher
tark-e-vafaa ke baa'd ye us kii adaa 'qatiil'
mujh ko sataa.e ko.ii to us ko buraa lage
Qateel Shifai
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
ma.asuum hai ma.asuum bahut amn kii devii
qabze me.n liye KHanjar-e-KHuu.n-KHaar abhii tak
Aarif Naqshbandi
Sher
naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-naam se mat maar mujhe
Mustafa Zaidi
Sher
Fana bulandshahri
Sher
qaatil ko raushnii me.n dikhaa.ii diyaa na mai.n
aisii chamak thii KHanjar-e-burraa.n me.n bach gayaa
Rafiq Raaz
Sher
chhupaataa kyaa hai mu.nh kab tak chhupegaa
tujhe sab shahr-e-qaatil jaantaa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
huu.n tishna-kaam-e-dasht-e-shahaadat zi-bas ki mai.n
girtaa huu.n aab-e-KHanjar-o-shamshiir dekh kar
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
nazzaara-e-qaatil ne kiyaa mahv ye ham ko
gardan pe chamaktii hu.ii shamshiir na suujhii
Muzaffar Ali Aseer
Sher
bahut qariib hai 'muztar' vo zindagii kaa nizaam
nazar na aa.egaa jab ko.ii bismil o qaatil
Muztar Haidri
Sher
ek ko ek nahii.n rashk se marne detaa
ye nayaa kuucha-e-qaatil me.n tamaashaa dekhaa
Sharaf Mujaddidi
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
dekh daaman-giir mahshar me.n tire hove.nge ham
KHuu.n hamaaraa apne daaman se na ai qaatil chhu.Daa
Aarifuddin Aajiz
Sher
tez kab tak hogii kab tak baa.Dh rakkhii jaa.egii
ab to ai qaatil tirii shamshiir aadhii rah ga.ii