SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHaraabe"
Sher MATCHES FOR "KHaraabe"
Sher
'miir' ham mil ke bahut KHush hu.e tum se pyaare
is KHaraabe me.n mirii jaan tum aabaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
hazaar chehre hai.n maujuud aadmii Gaa.eb
ye kis KHaraabe me.n duniyaa ne laa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Sher
bastiyaa.n kuchh hu.ii.n viiraan to maatam kaisaa
kuchh KHaraabe bhii to aabaad hu.aa karte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Sher
dil jo TuuTaa hai to phir yaad nahii.n hai ko.ii
is KHaraabe me.n ab aabaad nahii.n hai ko.ii
Sarfaraz Khalid
Sher
KHatm hone de mire saath hii apnaa bhii vajuud
tuu bhii ik naqsh KHaraabe kaa hai mar jaa mujh me.n
Musavvir Sabzwari
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
dillii pe ronaa aataa hai kartaa huu.n jab nigaah
mai.n us kuhan KHaraabe kii ta.amiir kii taraf
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
na.e charaaG jalaa yaad ke KHaraabe me.n
vatan me.n raat sahii raushnii manaayaa kar
Saqi Faruqi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
KHaraab-e-dahr na mai.n KHud hu.aa na tuu ne kiyaa
jo kuchh kiyaa tire milne kii aarzuu ne kiyaa
Zaidi Balgami
Sher
aise bhaTak rahaa hai KHaraabe me.n aadmii
jaise use kabhii bhii hidaayat nahii.n milii
Shahnawaz Farooqi
Sher
bahut se KHuun-KHaraabe mache.nge KHaana-KHaraab
yahii hai rang agar tere paan khaane kaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
jo mere dasht-e-junuu.n me.n thaa farq-e-ruu-e-bahaar
vahii KHirad ke KHaraabe me.n ik gulaab banaa
Hasan Naim
Sher
hamaarii tarah KHaraab-e-safar na ho ko.ii
ilaahii yuu.n to kisii kaa na raahbar gum ho