SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHasam-jaan"
Sher MATCHES FOR "KHasam-jaan"
Sher
muKHaalifo.n ne KHabar jab ko.ii u.Daa dii hai
to dosto.n ne use aur bhii havaa dii hai
Athar Ziai
Sher
qasam jab us ne khaa.ii ham ne e'tibaar kar liyaa
zaraa sii der zindagii ko KHush-gavaar kar liyaa
Mahshar Inayati
Sher
mumkin nahii.n hai shaayad dono.n kaa saath rahnaa
terii KHabar jab aa.ii apnii KHabar ga.ii hai
Meer Ahmad Naved
Sher
baar-haa yuu.n bhii hu.aa terii mohabbat kii qasam
jaan kar ham ne tujhe KHud se KHafaa rakkhaa hai
Saleem Ahmed
Sher
kyaa khaa.e.n ham vafaa me.n ab iimaan kii qasam
jab taar-e-sub.ha rishta-e-zunnaar ho chukaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
ab tak KHabar na thii ki mohabbat gunaah hai
ab jaan kar gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
afsos mujh ko chho.D ke jaane se peshtar
vo jaa chukaa thaa mujh ko KHabar baa'd me.n hu.ii
Meem Maroof Ashraf
Sher
de aayaa apnii jaan bhii darbaar-e-ishq me.n
phir bhii na ban sakaa KHabar aKHbaar-e-ishq me.n
Ashraf Shad
Sher
shaayad savaab tum ko bhii mil jaa.e sab ke saath
sajde me.n gir bhii jaa.o du.aa kii kise KHabar