SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHud-nigar"
Sher MATCHES FOR "KHud-nigar"
Sher
Saima Esma
Sher
supurdagii me.n bhii ik ramz-e-KHud-nigah-daarii
vo mere dil se mire vaaste nahii.n guzre
Majeed Amjad
Sher
lab-e-nigaar ko zahmat na do KHudaa ke liye
ham ahl-e-shauq zabaan-e-nazar samajhte hai.n
Ghulam Rabbani Taban
Sher
tirii nigaah banii aa.ina mirii KHaatir
mai.n KHud ko dekh ke kal raat muskuraane lagaa
Amber Waseem Allahabadi
Sher
bhuulnaa KHud ko to aasaa.n hai bhulaa baiThaa huu.n
vo sitamgar jo na bhuule se bhulaayaa jaa.e
Zehra Nigaah
Sher
mujhe bhii KHud na thaa ehsaas apne hone kaa
tirii nigaah me.n apnaa maqaam khone tak
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
aurat ke KHudaa do hai.n haqiiqii o majaazii
par us ke liye ko.ii bhii achchhaa nahii.n hotaa
Zehra Nigaah
Sher
bahkii bahkii nigah-e-naaz KHudaa KHair kare
husn me.n ishq ke andaaz KHudaa KHair kare
Manzar Lakhnavi
Sher
tirii nigah se ga.e khul kivaa.D chhaatii ke
hisaar-e-qalb kii goyaa thii fat.h tere naam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
meh.ndii ke dhoke mat rah zaalim nigaah kar tuu
KHuu.n meraa dast-o-paa se tere lipaT rahaa hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
uTho ki jashn-e-KHizaa.n ham manaa.e.n jii bhar ke
bahaar aa.e gulistaa.n me.n kab KHudaa jaane
Zehra Nigaah
Sher
jalve kii bhiik de ke vo haTne lage the KHud
daaman paka.D liyaa nigah-e-e'tibaar ne
Ijtiba Rizvi
Sher
tiir-e-nigah lagaa ke tum kahte ho phir lagaa na KHuub
meraa to kaam ho gayaa siine ke paar ho na ho