SEARCH RESULTS
Showing search results for "Kulliyat-e-Faiz"
Sher MATCHES FOR "Kulliyat-e-faiz"
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Popular Meeruthi
Sher
kyaa firaaq o faiz se lenaa thaa mujh ko ai 'na.iim'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh na.e aadaab the
Hasan Naim
Sher
paiGaam-e-lutf-e-KHaas sunaanaa basant kaa
dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
tere milaap bin nahii.n 'faa.ez' ke dil ko chain
jyuu.n ruuh ho basaa hai tuu us ke badan me.n aa
Faez Dehlvi
Sher
ja.ngal ke biich vahshat ghar me.n jafaa o kulfat
ai dil bataa ki tere maare ham ab kidhar jaa.n
Abroo Shah Mubarak
Sher
hinaa-e-paa-e-KHizaa.n hai bahaar agar hai yahii
davaam-e-kulfat-e-KHaatir hai aish duniyaa kaa
Mirza Ghalib
Sher
mazmuun ke bhii sher agar ho.n to KHuub hai.n
kuchh ho nahii.n ga.ii Gazal-e-aashiqaana farz
Naseem Dehlvi
Sher
is qadar sarf ilaahii mire KHuun-e-dil kaa
ab mohabbat kaa bajaT fail hu.aa jaataa hai
Machis Lakhnavi
Sher
vaa'da amiir-e-shahr kaa dariyaa-dilii kaa thaa
dekh un kaa faiz shahr ko dariyaa banaa diyaa