SEARCH RESULTS
Showing search results for "Naagaah"
Sher MATCHES FOR "naagaah"
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
Meeraji
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
nahii.n nahii.n hame.n ab terii justujuu bhii nahii.n
tujhe bhii bhuul ga.e ham tirii KHushii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
dil kii bisaat kyaa thii nigaah-e-jamaal me.n
ik aa.iina thaa TuuT gayaa dekh-bhaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
chhoTii sii baat pe KHush honaa mujhe aataa thaa
par ba.Dii baat pe chup rahnaa tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
nigaah barq nahii.n chehra aaftaab nahii.n
vo aadmii hai magar dekhne kii taab nahii.n