SEARCH RESULTS
Showing search results for "Qayamat"
Sher MATCHES FOR "qayamat"
Sher
Jaun Eliya
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ham aap qayaamat se guzar kyuu.n nahii.n jaate
jiine kii shikaayat hai to mar kyuu.n nahii.n jaate
Mahboob Khizan
Sher
jaate hu.e kahte ho qayaamat ko mile.nge
kyaa KHuub qayaamat kaa hai goyaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
mere kamre me.n udaasii hai qayaamat kii magar
ek tasviir puraanii sii ha.nsaa kartii hai
Abbas Qamar
Sher
shakl insaan kii ho chaal bhii insaan kii ho
yuu.n bhii aatii hai qayaamat mujhe ma.aluum na thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
vahii charaaG bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Moghisuddin Fareedi
Sher
dil to pahle hii judaa the yahaa.n bastii vaalo
kyaa qayaamat hai ki ab haath milaane se ga.e
Iman Qaisrani
Sher
gar qayaamat ye nahii.n hai to qayaamat kyaa hai
shahr jaltaa rahaa aur log na ghar se nikle