SEARCH RESULTS
Showing search results for "Saharanpuri"
Sher MATCHES FOR "saharanpuri"
Sher
hazaar baar iraada kiye baGair bhii ham
chale hai.n uTh ke to aksar ga.e usii kii taraf
Adeeb Saharanpuri
Sher
manzile.n na bhuule.nge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hii kab hai paa.nv thakne se
Adeeb Saharanpuri
Sher
mahsuus kar rahaa huu.n KHud apne jamaal ko
jitnaa tire qariib chalaa jaa rahaa huu.n mai.n
Arzoo Saharanpuri
Sher
apne apne hauslo.n apnii talab kii baat hai
chun liyaa ham ne unhe.n saaraa jahaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
baa.ndh kar ahd-e-vafaa ko.ii gayaa hai mujh se
ai mirii umr-e-ravaa.n aur zaraa aahista
Adeeb Saharanpuri
Sher
raahat kii justujuu me.n KHushii kii talaash me.n
Gam paaltii hai umr-e-gurezaa.n na.e na.e
Adeeb Saharanpuri
Sher
muqaddar se mire dono.n ke dono.n bevafaa nikle
na umr-e-bevafaa palTii na phir jaa kar shabaab aayaa
Anwar Saharanpuri
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
Arzoo Saharanpuri
Sher
Adeeb Saharanpuri
Sher
kabhii kabhii to ik aisaa maqaam aayaa hai
mai.n husn ban ke KHud apnii nazar se guzraa huu.n
Arzoo Saharanpuri
Sher
ilaahii raah-e-mohabbat ko tai kare.n kyuu.nkar
ye raasta to musaafir ke saath chaltaa hai
Ahmad Saharanpuri
Sher
shaayad niyaaz-mand ko haasil niyaaz ho
hasrat se tak rahaa huu.n tirii rahguzar ko mai.n
Anwar Saharanpuri
Sher
vo taaza daastaa.n huu.n marne ke baa'd un ko
aa.egaa yaad meraa afsaana zindagii kaa