SEARCH RESULTS
Showing search results for "Tapke"
Sher MATCHES FOR "Tapke"
Sher
banaavaT ho to aisii ho ki jis se saadgii Tapke
ziyaada ho to aslii husn chhup jaataa hai zevar se
Safi Lakhnavi
Sher
aa.nsuu falak kii aa.nkh se Tapke tamaam raat
aur sub.h tak zamiin kaa aa.nchal bhigo ga.e
Zaheer Ahmad Zaheer
Sher
diyaa hai dard to ra.ng-e-qubuul de aisaa
jo ashk aa.nkh se Tapke vo daastaa.n ho jaa.e
Siraj Lakhnavi
Sher
aaluuda-ba-KHuu.n chashm se Tapke hai jo aa.nsuu
sab kahte hai.n hairat se ye motii hai ki muu.ngaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ronaa binaa-e-KHaana-KHaaraabii hai misl-e-sham.a
Tapke jo saqf-e-chashm ho to qasr-e-tan KHaraab
Imdad Ali Bahr
Sher
shab-e-hijraa.n jo mire ret pe aa.nsuu Tapke
huu-ba-huu yaar kii tasviir banii paa.ii ga.ii
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Nasir Kazmi
Sher
tark-e-ta.alluqaat pe royaa na tuu na mai.n
lekin ye kyaa ki chain se soyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
'faraaz' tark-e-ta.alluq to KHair kyaa hogaa
yahii bahut hai ki kam kam milaa karo us se
Ahmad Faraz
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
us ke yuu.n tark-e-mohabbat kaa sabab hogaa ko.ii
jii nahii.n ye maantaa vo bevafaa pahle se thaa
Parveen Shakir
Sher
baaqii hai ab bhii tark-e-tamannaa kii aarzuu
kyuu.nkar kahuu.n ki ko.ii tamannaa nahii.n mujhe