SEARCH RESULTS
Showing search results for "Tuk.De"
Sher MATCHES FOR "Tuk.De"
Sher
mai.n jo.D to detaa tirii tasviir ke Tuk.De
mushkil thaa ki vo pahlaa saa chehra nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
Tuk.De ka.ii ik dil ke mai.n aapas me.n siye hai.n
phir sub.h talak rone ke asbaab kiye hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
Abdullateef Shauq
Sher
rail kii paTrii ne us ke Tuk.De Tuk.De kar diye
aap apnii zaat se us ko bahut inkaar thaa
Ateequllah
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
merii tarah TuuTe aa.iine me.n us ne bhii
Tuk.De Tuk.De apne aap ko paayaa hogaa
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
aaj terii yaad se Takraa ke Tuk.De ho gayaa
vo jo sadiyo.n se lu.Dhaktaa ek patthar mujh me.n thaa
Hasan Abbasi
Sher
baa.nT Daale aise ham ne dil ke Tuk.De kaaT kar
janm din pe baa.nTte hai.n cake jaise kaaT kar
Ankit Maurya
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Meena Kumari Naz
Sher
sailaab-e-tabassum se darmaan-e-jaraahat kar
Tuk.De dil-e-bismil ke aaluuda-e-KHuu.n kab tak
Saghar Nizami
Sher
'raasiKH' kii faaqa-mastii se allaah kii panaah
khaataa hai suukhe Tuk.De bhigo kar sharaab me.n
Rasikh Dehlvi
Sher
sunaa rahii hai jise jo.D jo.D kar duniyaa
tamaam Tuk.De hai.n vo merii daastaan ke hii
Khawer Eijaz
Sher
shoKHii se har shaguufe ke Tuk.De u.Daa diye
jis Gunche par nigaah pa.Dii dil banaa diyaa
Riyaz Khairabadi
Sher
zindaa.n se nikalne kii ye tadbiir Galat hai
zanjiir ke Tuk.De karo diivaar giraa do
Rifat Sethi
Sher
shabnamii qatre gul-e-laala pe the raqs-kunaa.n
barf ke Tuk.De bhii dekhe ga.e a.ngaaro.n me.n
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
dosto Taa.nke na do ehsaan Tuk itnaa karo
le chalo mujh ko vahii.n tum mai.n jahaa.n Tuk.De hu.aa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Tuk.De hu.e the daaman-e-hastii ke jis qadar
dalq-e-gadaa-e-ishq ke paivand ho ga.e