SEARCH RESULTS
Showing search results for "a.asaab"
Sher MATCHES FOR "a.asaab"
Sher
ab tak mire a.asaab pe mehnat hai musallat
ab tak mire kaano.n me.n mashiino.n kii sadaa hai
Tanveer Sipra
Sher
ek jaise roz-o-shab kii dhuul hai a.asaab par
ko.ii be-tartiib lamha merii yaksaanii me.n rakh
Aziz Nabeel
Sher
zindagii ja.ng hai a.asaab kii aur ye bhii suno
ishq a.asaab ko mazbuut banaa detaa hai
Taimur Hasan
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Ameeq Hanafi
Sher
kahaa.n chalii ga.ii.n kar ke ye to.D-pho.D 'zafar'
vo bijliyaa.n mire a.asaab se guzarte hu.e
Zafar Iqbal
Sher
'anjum' aa'saab sa.nbhaalo hai yahii rang-e-bahaar
buu-e-shauq aane lagii yaar kii a.ng.Daa.ii se
Shehzad Anjum Burhani
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
Muneer Niyazi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e