SEARCH RESULTS
Showing search results for "aab-e-zamzam"
Sher MATCHES FOR "aab-e-zamzam"
Sher
hai musalmaa.n ko hamesha aab-e-zamzam kii talaash
aur har ik barhaman ga.ng-o-jaman me.n mast hai
Bahram ji
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ko.ii 'fazaa' to mile ham ko qaabil-e-parvaaz
ab in hado.n me.n bhalaa baal-o-par kahaa.n khole.n
Faza Ibn e Faizi
Sher
tuu KHvaab hii me.n sahii aa ke KHud javaab to de
bujhii bujhii sii mirii aarzuu ko aab to de
A. D. Azhar
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kuchh to kamii ho roz-e-jazaa ke azaab me.n
ab se piyaa kare.nge milaa kar gulaab me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn-e-Insha
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
khaa.iye ye zahar kab tak khaa.e jaatii hai ye ziist
ai ajal kab tak rahe.nge rahn-e-aab-o-daana ham
Natiq Gulavthi
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
aaj lab-e-guhar-fishaa.n aap ne vaa nahii.n kiyaa
tazkira-e-KHajista-e-aab-o-havaa nahii.n kiyaa
Jaun Eliya
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
mai.n bhii talaash-e-aab-e-havas me.n niklaa huu.n
shor sunaa thaa ik chashme ke ubalne kaa
Prem Kumar Nazar
Sher
jism-e-KHaakii ko banaayaa laaGarii ne ain-ruuh
Garq-e-aab-e-bahr kaT kaT kar ye saahil ho gayaa