SEARCH RESULTS
Showing search results for "aab-o-havaa"
Sher MATCHES FOR "aab-o-havaa"
Sher
na raas aa.egii ham ko abhii ye aab-o-havaa
jahaa.n ke ham hai.n nazar me.n vahaa.n kaa mausam hai
Moid Rasheedi
Sher
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kii aab-o-havaa
aashiqo har-vaqt shaGl-e-aah-o-zaarii chaahiye
Rasheed lakhnavi
Sher
aaj lab-e-guhar-fishaa.n aap ne vaa nahii.n kiyaa
tazkira-e-KHajista-e-aab-o-havaa nahii.n kiyaa
Jaun Eliya
Sher
puuchh rahe hai.n mujh se pe.Do.n ke saudaagar
aab-o-havaa kaise zahriilii ho jaatii hai
Alam Khursheed
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
kahii.n bhii jaa.e.n kisii shahr me.n sukuunat ho
ham apnii tarz kii aab o havaa banaate hai.n
Khurshid Talab
Sher
sukuun luTtaa rahegaa fazaa hii aisii hai
tumhaare shahr kii aab-o-havaa hii aisii hai
Asad Rizvi
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
purvaa.iyo.n se la.Dtii hai.n pachchhim kii aa.ndhiyaa.n
sulh-pasand aab-o-havaa kis ke paas hai
Zakauddin Shaya.n
Sher
apne liye to KHaak kii KHushbuu hai zindagii
laazim nahii.n ki aab-o-havaa KHush-gavaar ho
Shahzad Ahmad
Sher
mauj-e-havaa aab-e-ravaa.n aur ye zamiin o aasmaa.n
ik roz sab jaa.e.nge thak allaah bas baaqii havas
Wali Aasi
Sher
yaa rab tirii rahmat kaa talabgaar hai ye bhii
tho.Dii sii mire shahr ko bhii aab-o-havaa de
Wazir Agha
Sher
mai.n apne vaqt me.n apnii ridaa me.n rahtaa huu.n
aur apne KHvaab kii aab-o-havaa me.n rahtaa huu.n
Ali Akbar Abbas
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
tuu KHvaab hii me.n sahii aa ke KHud javaab to de
bujhii bujhii sii mirii aarzuu ko aab to de
A. D. Azhar
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad