SEARCH RESULTS
Showing search results for "aabe"
Sher MATCHES FOR "aabe"
Sher
bosa liyaa jo us lab-e-shiirii.n kaa mar ga.e
dii jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayaat par
Ameer Minai
Sher
yuu.n pukaare hai.n mujhe kuucha-e-jaanaa.n vaale
idhar aa be abe o chaak-garebaa.n vaale
Munshi Anwar Husain Tasleem
Sher
mil bhii jaataa jo kahii.n aab-e-baqaa kyaa karte
zindagii KHud bhii thii jiine kii sazaa kyaa karte
Tanveer Ahmad Alvi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne jo kahaa mujh pe kyaa kyaa na sitam guzraa
bolaa ki abe teraa rote hii janam guzraa
Meer Hasan
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
jii uThuu.n phir kar agar tuu ek bosa de mujhe
chuusnaa lab kaa tire hai mujh ko juu.n aab-e-hayaat
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aaj dariyaa me.n ajab shor ajab halchal hai
kis kii kashtii ne qadam aab-e-ravaa.n par rakkhaa
Khurshid Talab
Sher
Wali Kakoravi
Sher
piine ko is jahaan me.n kaun sii mai nahii.n magar
ishq jo baa.nTtaa hai vo aab-e-hayaat aur hai
Shamim Karhani
Sher
vaa.n sajda-e-niyaaz kii miTTii KHaraab hai
jab tak ki aab-e-diida se taaza vazuu na ho
Ismail Merathi
Sher
hai KHaal yuu.n tumhaare chaah-e-zaqan ke andar
jis ruup ho kanhayyaa aab-e-jaman ke andar
Insha Allah Khan Insha
Sher
taras rahii thii.n ye aa.nkhe.n kisii kii suurat ko
so ham bhii dasht me.n aab-e-ravaa.n uThaa laa.e
Salim Saleem
Sher
hai musalmaa.n ko hamesha aab-e-zamzam kii talaash
aur har ik barhaman ga.ng-o-jaman me.n mast hai
Bahram ji
Sher
aab-e-hayaat jaa ke kisuu ne piyaa to kyaa
maanind-e-KHizr jag me.n akelaa jiyaa to kyaa