SEARCH RESULTS
Showing search results for "aafaat-e-musalsal"
Sher MATCHES FOR "aafaat-e-musalsal"
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
dikhaa.uu.ngaa tujhe zaahid us aafat-e-dii.n ko
KHalal dimaaG me.n tere hai paarsaa.ii kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
jafaa o jaur-e-musalsal vafaa o zabt-e-alam
vo iKHtiyaar tumhe.n hai ye iKHtiyaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
Ashfaq Shaheen
Sher
vahaa.n riyaaz-e-musalsal se kaam chaltaa hai
yahaa.n gale ke sahaare kalaam chaltaa hai
Dilawar Figar
Sher
vaqt kii sa.ii-e-musalsal kaargar hotii ga.ii
zindagii lahza-ba-lahza muKHtasar hotii ga.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
khol kar zulf-e-musalsal ko pa.Dhii us ne namaaz
ghar me.n allaah ke bhii jaal bichhaa kar aayaa
Ahmad Husain Mail
Sher
kabhii aaGosh me.n rahtaa kabhii ruKHsaaro.n par
kaash ai aafat-e-jaa.n mai.n tiraa aa.nsuu hotaa
Naseem Dehlvi
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
kisii ke jaur-e-musalsal kaa faiz hai 'aKHgar'
vagarna dard hamaare suKHan me.n kitnaa thaa
Haneef Akhgar
Sher
aafat-e-jaa.n hu.ii us ruu-e-kitaabii kii yaad
raas aayaa na mujhe haafiz-e-qur.aa.n honaa
Haidar Ali Aatish
Sher
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musiibato.n se jo ghabraa gayaa zamaane me.n