SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaftaab-e-sub.h"
Sher MATCHES FOR "aaftaab-e-sub.h"
Sher
kin manzaro.n me.n mujh ko mahaknaa thaa 'aaftaab'
kis regzaar par huu.n mai.n aa kar khilaa hu.aa
Aftab Hussain
Sher
pau phaTte hii 'riyaaz' jahaa.n KHuld ban gayaa
Gilmaan-e-mahr saath liye aa.ii huur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
bad-qismato.n ko gar ho mayassar shab-e-visaal
suuraj Guruub hote hii zaahir ho nuur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
qulqul-e-miinaa sadaa naaquus kii shor-e-azaa.n
ThanDe ThanDe diidanii hai garmii-e-baazaar-e-sub.h
Riyaz Khairabadi
Sher
qaamat tirii daliil qayaamat kii ho ga.ii
kaam aaftaab-e-hashr kaa ruKHsaar ne kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
naadaan kah rahe hai.n jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ruu-e-daraKHshaa.n ke saamne
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
tuu jis ke KHvaab me.n aayaa ho vaqt-e-sub.h sanam
namaaz-e-sub.h ko kis tarah vo qazaa na kare
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
aaftaab-e-garm se dast-o-garebaa.n ho ga.e
dhuup kii shiddat se saa.e jab pareshaa.n ho ga.e
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
ma.anii-e-raushan jo ho.n to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshiid kaafii hai pa.e-diivaan-e-sub.h
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
Zahid Masood
Sher
numuud-e-sub.h se shab kii vo tiirgii to ga.ii
ye aur baat ki suuraj me.n raushnii kam hai
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
phuuTne vaalii hai mazduur ke maathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-sub.h pe lahraate hai.n
Ali Sardar Jafri
Sher
ai sub.h kii kiran mujhe pyaarii hai tuu bahut
tujh se lipaT pa.Duu.ngaa agar jaagtaa hu.aa
Shahzad Ahmad
Sher
hujuum-e-sub.h kii tanhaa.iyo.n me.n Duub ga.e
vo qaafile jo a.ndhero.n kii anjuman se chale
Anwar Moazzam
Sher
nazaakat us gul-e-raanaa kii dekhiyo 'inshaa'
nasiim-e-sub.h jo chhuu jaa.e rang ho mailaa