SEARCH RESULTS
Showing search results for "aagaahii"
Sher MATCHES FOR "aagaahii"
Sher
aagahii karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hii siine me.n utre hai.n ye KHanjar saare
Bashir Farooqi
Sher
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Sher
Jalaluddin Akbar
Sher
'saudaa' jo be-KHabar hai vahii yaa.n kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hai.n aagahii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
agar shu.uur na ho to bahisht hai duniyaa
ba.De azaab me.n guzrii hai aagahii ke saath
Sahba Akhtar
Sher
ek sarmastii o hairat hai saraapaa taariik
ek sarmastii o hairat hai tamaam aagaahii
Allama Iqbal
Sher
Aamil Darvesh
Sher
jin se zinda ho yaqiin o aagahii kii aabruu
ishq kii raaho.n me.n kuchh aise gumaa.n karte chalo
Saghar Siddiqui
Sher
mire hamraah kyuu.n vo shaKHs chalnaa chaahtaa hai
safar ke josh me.n kyaa aagahii gum ho ga.ii hai
Saleem Sarfaraz
Sher
Matin Niazi
Sher
na puuchhiye ki vo kis karb se guzarte hai.n
jo aagahii ke sabab aish-e-bandagii se ga.e
Irfan Sattar
Sher
Zaki kakorvi
Sher
aagahii bhuulne detii nahii.n hastii kaa ma.aal
TuuT ke KHvaab bikhartaa hai to ha.ns dete hai.n
Mumtaz Mirza
Sher
nii.nd aatii hii nahii.n thii aagahii ke dard se
maut ne aaGosh me.n le kar sulaayaa hai mujhe