SEARCH RESULTS
Showing search results for "aahaTe.n"
Sher MATCHES FOR "aahaTe.n"
Sher
is a.ndhere me.n na ik gaam bhii ruknaa yaaro
ab to ik duusre kii aahaTe.n kaam aa.e.ngii
Rajinder Manchanda Bani
Sher
kivaa.D band karo tiira-baKHto so jaa.o
galii me.n yuu.n hii ujaalo.n kii aahaTe.n ho.ngii
Bekal Utsahi
Sher
Rana Gannauri
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
Nooh Narvi
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitnii aurato.n kii bad-du.aa.e.n saath hai.n
Bashir Badr
Sher
kal saamne manzil thii piichhe mirii aavaaze.n
chaltaa to bichha.D jaataa ruktaa to safar jaataa
Azm Bahzad
Sher
Muneer Niyazi
Sher
guzre hai.n mai-kade se jo tauba ke baa'd ham
kuchh duur aadatan bhii qadam Dagmagaa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ye aurato.n me.n tavaa.if to Dhuu.nD letii hai.n
tavaa.ifo.n me.n inhe.n aurte.n nahii.n miltii.n
Meena Naqvi
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
is re.ngtii hayaat kaa kab tak uThaa.e.n baar
biimaar ab ulajhne lage hai.n tabiib se