SEARCH RESULTS
Showing search results for "aahaTe.n"
Ghazal MATCHES FOR "aahaTe.n"
Ghazal
mai.n sun rahaa huu.n a.ndhere me.n aahaTe.n kaisii
ye kaun aayaa hai aur kaun jaanaa chaahtaa hai
Abbas Tabish
Ghazal
Akhtar Shumar
Ghazal
aahaTe.n sirf havaa.o.n kii hii dastak na bane.n
ab to darvaazo.n pe maanuus sadaa aa.ii ho
Parveen Shakir
Ghazal
ye surma.ii fazaa.o.n kii kunmunaahaTe.n
miltii hai.n mujh ko pichhle pahar terii aahaTe.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ajnabii aahaTe.n anjaan sadaa.e.n mujh me.n
mai.n to baaz aayaa KHaraabe kii nigahbaanii se
Aslam Mahmood
Ghazal
apne qariib paa ke mo.attar sii aahaTe.n
mai.n baar-haa sanaktii havaa se lipaT gayaa
Qateel Shifai
Ghazal
ik din sunuu.ngaa apnii samaa.at pe aahaTe.n
chupke se mere dil me.n ko.ii Dar bhii aa.egaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
havaa kii chaap me.n shaamil hai.n aahaTe.n us kii
saliiqa dil ko dha.Dakne kaa bhii sikhaa.e to
Aasnath Kanwal
Ghazal
har ek roz vo pahchaan kaise letii hai
har ek roz to mai.n aahaTe.n badaltaa huu.n
Aks samastipuri
Ghazal
kivaa.D band karo tiira-baKHto so jaa.o
galii me.n yuu.n hii ujaalo.n kii aahaTe.n ho.ngii
Bekal Utsahi
Ghazal
sadaa.e.n qaid karuu.n aahaTe.n churaa le jaa.uu.n
mahakte jism kii sab KHushbu.e.n u.Daa le jaa.uu.n
Aashufta Changezi
Ghazal
Tariq Butt
Ghazal
aahaTe.n guu.nje.ngii aur ko.ii na aa.egaa nazar
pyaar kii aabaadiyaa.n sahraa banaa dii jaa.e.ngii
Azhar Inayati
Ghazal
Khwaja Sajid
Ghazal
nazeer Tabassum
Ghazal
sun le jo aane vaale zamaane kii aahaTe.n
kaise kahe ki aaj bhii kal kaa libaas ho