Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

Tariq Butt

wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

Tariq Butt

MORE BYTariq Butt

    vahī āhaTeñ dar-o-bām par vahī rat-jagoñ ke azaab haiñ

    vahī adh-bujhī mirī niiñd hai vahī adh-jale mire ḳhvāb haiñ

    mire sāmne ye jo ḳhvāhishoñ hai dhund had-e-nigāh tak

    pare is ke jaane haqīqateñ ki haqīqatoñ ke sarāb haiñ

    mirī dastaras meñ kabhī to hoñ jo haiñ ghaḌiyāñ kaif-o-nashāt

    hai ye kyā ki aa.eñ idhar kabhī to lage ki pā-ba-rikāb haiñ

    kabhī chāhā ḳhud ko sameTnā to bikhar ke aur bhī rah gayā

    haiñ jo kirchī kirchī paḌe hue mire sāmne mire ḳhvāb haiñ

    ye na pūchh kaise basar kiye shab-o-roz kitne pahar jiye

    kise rāt-din tamīz thī kise yaad itne hisāb haiñ

    unheñ ḳhauf rasm-o-rivāj hameñ vaz.a apnī aziiz hai

    vo rivāyatoñ panāh meñ ham anā ke zer-e-itāb haiñ

    abhī zaḳhm-e-nau shumār kyā abhī rut hai dil ke siñghār

    abhī aur phūTeñgī koñpleñ abhī aur khilne gulāb haiñ

    wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

    wahi adh-bujhi meri nind hai wahi adh-jale mere KHwab hain

    mere samne ye jo KHwahishon ki hai dhund had-e-nigah tak

    pare is ke jaane haqiqaten ki haqiqaton ke sarab hain

    meri dastaras mein kabhi to hon jo hain ghaDiyan kaif-o-nashat ki

    hai ye kya ki aaen idhar kabhi to lage ki pa-ba-rikab hain

    kabhi chaha KHud ko sameTna to bikhar ke aur bhi rah gaya

    hain jo kirchi kirchi paDe hue mere samne mere KHwab hain

    ye na puchh kaise basar kiye shab-o-roz kitne pahar jiye

    kise raat-din ki tamiz thi kise yaad itne hisab hain

    unhen KHauf rasm-o-riwaj ka hamein waza apni aziz hai

    wo riwayaton ki panah mein hum ana ke zer-e-itab hain

    abhi zaKHm-e-nau ka shumar kya abhi rut hai dil ke singhaar ki

    abhi aur phuTengi konplen abhi aur khilne gulab hain

    Source:

    Sada-e-mosam-e-gul (Pg. B-35 E-31)

    • Author: Tariq Butt
      • Edition: 1997
      • Publisher: Robeena Naz Tarique
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now