SEARCH RESULTS
Showing search results for "aal-aulaad"
Sher MATCHES FOR "aal-aulaad"
Sher
zamaana saKHt kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
aa.nkh uThaa.o to hijaabaat kaa ik aalam hai
dil se dekho to ko.ii raah me.n haa.il bhii nahii.n
Javed Vashisht
Sher
phir tirii muKHtaarii-e-'aalam kaa kyaa
mai.n ne tujh se kuchh nahii.n maa.ngaa agar
Waseem Haidar
Sher
ham gardish-e-girdaab-e-alam se nahii.n Darte
tuufaa.n hai agar aaj kinaara bhii to hogaa
Athar Raz
Sher
kyuu.n ujaa.Daa zaahido but-KHaana-e-aabaad ko
masjide.n kaafii na hotii.n kyaa KHudaa kii yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ishq rusvaa-kun-e-aalam vo hai 'ahsan' jis se
nek-naamo.n kii bhii bad-naamii o rusvaa.ii hai
Ahsan Marahravi
Sher
ta.alluq kii na.ii ik rasm ab iijaad karnaa hai
na us ko bhuulnaa hai aur na us ko yaad karnaa hai
Humaira Rahat
Sher
dil-e-aabaad kaa 'faanii' ko.ii mafhuum nahii.n
haa.n magar jis me.n ko.ii hasrat-e-barbaad rahe
Fani Badayuni
Sher
ra.nj o alam kaa lutf uThaane ke vaaste
raahat se bhii nibaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jagdish Sahay Saxena
Sher
har ek lafz me.n poshiida ik alaa.o na rakh
hai dostii to takalluf kaa rakh-rakhaa.o na rakh
Farooq Shamim
Sher
is ko naa-qadrii-e-aalam kaa sila kahte hai.n
mar chuke ham to zamaane ne bahut yaad kiyaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
vus.at tilism-KHaana-e-aalam kii kyaa kahuu.n
thak thak ga.ii nigaah tamaashe na kam hu.e
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
nii.nd aa chalii hai anjum-e-shaam-e-abad ko bhii
aa.nkh ahl-e-intizaar kii ab tak lagii nahii.n