SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaseb"
Sher MATCHES FOR "aaseb"
Sher
na jaane kaun saa aaseb dil me.n bastaa hai
ki jo bhii Thahraa vo aaKHir makaan chho.D gayaa
Parveen Shakir
Sher
na jaane baahar bhii kitne aaseb muntazir ho.n
abhii mai.n andar ke aadmii se Daraa hu.aa huu.n
Aanis Moin
Sher
aap hii aap diye bujhte chale jaate hai.n
aur aaseb dikhaa.ii bhii nahii.n detaa hai
Razi Akhtar Shauq
Sher
'muniir' is mulk par aaseb kaa saaya hai yaa kyaa hai
ki harkat tez-tar hai aur safar aahista aahista
Muneer Niyazi
Sher
dil ko kisii kii yaad se KHaalii na kiijiye
aaseb rahne lagte hai.n KHaalii makaan me.n
Ahmad Alvi
Sher
mohabbat zulf kaa aaseb jaaduu hai nigaaho.n kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaanii hai
Khar Dehlavi
Sher
band pa.De hai.n shahar ke saare darvaaze
ye kaisaa aaseb ab ghar ghar lagtaa hai
Krishna Kumar Toor
Sher
kholo na ko.ii aib kisii kaa bhii yahaa.n par
aaseb ko mil jaa.egaa darvaaza khulaa saa
Obaid Haris
Sher
chaahe ab aap bhii mujhe aaseb hii kahe.n
KHud muntaKHab kyaa hai ye uj.Daa hu.aa makaa.n
Shahzad Ahmad
Sher
dil ko ham kab tak bachaa.e rakhte har aaseb se
Thes aaKHir lag ga.ii shiishe me.n baal aa hii gayaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ek aaseb ta.aaqub me.n lagaa rahtaa hai
mai.n jo ruktaa huu.n to phir us kii sadaa chaltii hai
Liaqat Jafri
Sher
kahiyo KHud-bii.n se ki aa.iine me.n tanhaa mat baiTh
KHatar aaseb kaa rahtaa hai parii-KHaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
kyuu.n baam pe aavaazo.n kaa dhammaal hai 'ajmal'
is ghar pe to aaseb kaa saaya bhii nahii.n hai