SEARCH RESULTS
Showing search results for "aazurda"
Sher MATCHES FOR "aazurda"
Sher
vo aur va.ada vasl kaa qaasid nahii.n nahii.n
sach sach bataa ye lafz unhii kii zabaa.n ke hai.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
ai dil tamaam naf.a hai saudaa-e-ishq me.n
ik jaan kaa ziyaa.n hai so aisaa ziyaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
haal-e-dil sun ke vo aazurda hai.n shaayad un ko
is hikaayat pe shikaayat kaa gumaa.n guzraa hai
Abdul Majeed Salik
Sher
'aazurdaa' mar ke kuucha-e-jaanaa.n me.n rah gayaa
dii thii du.aa kisii ne ki jannat me.n ghar mile
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
Junaid Hazin Lari
Sher
is dard-e-judaa.ii se kahii.n jaan nikal jaa.e
'aazurdaa' mire haq me.n zaraa yuu.n bhii du.aa kar
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
naaseh yahaa.n ye fikr hai siina bhii chaak ho
hai fikr-e-baKHiya tujh ko garebaa.n ke chaak me.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
kaTtii kisii tarah se nahii.n ye shab-e-firaaq
shaayad ki gardish aaj tujhe aasmaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
falak ne bhii siikhe hai.n tere hii taur
ki apne kiye par pashemaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
mirii baato.n se ab aazurda na honaa saaqii
is gha.Dii aql mirii mujh se judaa phirtii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
be-muravvat tujhe aazurda kare.nge ham log
ye tirii naazukii-e-tab.a kii iijaad hai.n sab
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n aur zauq-e-baada-kashii le ga.ii.n mujhe
ye kam-nigaahiyaa.n tirii bazm-e-sharaab me.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
'saudaa' se shaKHs ke ta.ii.n aazurda kiijiye
ai KHud-parast haif nahii.n tuu vafaa-parast
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aazurda kuchh hai.n shaayad varna huzuur mujh se
kyuu.n mu.nh phulaa rahaa hai vo gul-ezaar apnaa
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
Syed Wahidudeen Salim
Sher
jiine vaalo.n se kaho ko.ii tamannaa Dhuu.nDe.n
ham to aasuuda-e-manzil hai.n hamaaraa kyaa hai