SEARCH RESULTS
Showing search results for "ablaq"
Sher MATCHES FOR "ablaq"
Sher
qaabuu me.n rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na mai.n ne aisaa kisii shahsavaar ko
Mohammad Baqar Shams
Sher
aabla-paa ko.ii is dasht me.n aayaa hogaa
varna aa.ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa
Meena Kumari Naz
Sher
maz.hab kii KHaraabii hai na aKHlaaq kii pastii
duniyaa ke masaa.ib kaa sabab aur hii kuchh hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
KHush hai.n to phir musaafir-e-duniyaa nahii.n hai.n aap
is dasht me.n bas aabla-paa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Sher
ye kaisii jagah hai ki dil kho rahaa hai
bayaabaa.n hai sahraa hai gulshan hai kyaa hai
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
bahaa hai phuuT ke aa.nkho.n se aabla dil kaa
tarii kii raah se jaataa hai qaafila dil kaa
Dulhan Begum
Sher
Shahid Zaki
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
lab pe kaa.nTo.n ke hai fariyaad-o-bukaa mere baad
ko.ii aayaa hii nahii.n aabla-paa mere baad
Anwar Sabri
Sher
libaas dekh ke itnaa hame.n Gariib na jaan
hamaaraa Gam tirii imlaak se ziyaada hai
Azeem Haider Syed
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
mujhe yaqii.n to bahut thaa magar Galat niklaa
ki aabla kabhii paa-posh me.n nahii.n aataa
Farhat Ehsas
Sher
tez rakhiyo sar-e-har-KHaar ko ai dasht-e-junuu.n
shaayad aa jaa.e ko.ii aabla-paa mere ba.ad
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Aazim Kohli
Sher
Aatish Bahawalpuri
Sher
sitaaro.n kii gardish dilo.n kaa bichha.Dnaa
ye kaise KHudaa kii hai kaisii KHudaa.ii