SEARCH RESULTS
Showing search results for "abr-e-bahaar"
Sher MATCHES FOR "abr-e-bahaar"
Sher
fatvaa diyaa hai muftii-e-abr-e-bahaar ne
tauba kaa KHuun baada-kasho.n ko halaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apnii raah le.n
majnuu.n ko kaa.enaat kisii kaam kii nahii.n
Abdullah Saqib
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
un ko yaa.n vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chaahnaa phir baad me.n barsaa karnaa
Hasrat Mohani
Sher
chaman me.n shab ko ghiraa abr-e-nau-bahaar rahaa
huzuur aap kaa kyaa kyaa na intizaar rahaa
Mirza Shauq Lakhnavi
Sher
jo merii chashm ke parde shariik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar ba.Dh jaataa
Rasheed lakhnavi
Sher
vahshiyo.n ko ye sabaq detii hu.ii aa.ii bahaar
taar baaqii na rahe ko.ii garebaano.n me.n
Abr Ahsani Ganauri
Sher
din kaT rahe hai.n kashmakash-e-rozgaar me.n
dam ghuT rahaa hai saaya-e-abr-e-bahaar me.n
Majeed Amjad
Sher
Baharunnisa Bahar
Sher
Shah Naseer
Sher
kahte hai.n andaliib-e-giraftaar mujh ko dekh
ummiid jiivne kii nahii.n is bahaar me.n
Tek Chand Bahar
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
kuchh aur ko.ii abr-e-bahaarii ko na samjhe
u.Dtaa hai ye ruumaal mire diida-e-tar kaa
Syed Agha Ali Mehr
Sher
'azfarii' Guncha-e-dil band aur aa.ii hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
Mirza Azfari
Sher
ab to hai sirf aamad-e-fasl-e-bahaar yaad
dil ek phuul thaa jo sar-e-shaaKH jal gayaa
Azizunnisa Naz
Sher
tamhiid thii junuu.n kii garebaa.n hu.aa jo chaak
ya.anii ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar thaa