SEARCH RESULTS
Showing search results for "afsana-e-mahfil"
Sher MATCHES FOR "afsana-e-mahfil"
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puuchhiye 'majruuh'
sharaab ek hai badle hu.e hai.n paimaane
Majrooh Sultanpuri
Sher
buu-e-gul naala-e-dil duud-e-charaaG-e-mahfil
jo tirii bazm se niklaa so pareshaa.n niklaa
Mirza Ghalib
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ra.ng-e-mahfil dekhne ko hosh me.n aa.e the ham
hosh ab u.Dne lage hai.n ra.ng-e-mahfil dekh kar
Unknown
Sher
miir-e-mahfil na hu.e garmii-e-mahfil to hu.e
sham.a-e-taabaa.n na sahii jaltaa hu.aa dil to hu.e
Arzoo Lakhnavi
Sher
jin se afsaana-e-hastii me.n tasalsul thaa kabhii
un mohabbat kii rivaayaat ne dam to.D diyaa
Saghar Siddiqui
Sher
mai.n ek baab thaa afsaana-e-vafaa kaa magar
tumhaarii bazm se uTThaa to ik kitaab banaa
Hasan Naim
Sher
afsaana-e-majnuu.n se nahii.n kam miraa qissa
is baat ko jaane do ki mash.huur nahii.n hai
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
suntaa huu.n ba.De Gaur se afsaana-e-hastii
kuchh KHvaab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adaa hai
Asghar Gondvi
Sher
ra.ng-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand sham.o.n ke bha.Dakne se sahar hotii nahii.n