SEARCH RESULTS
Showing search results for "afzal-ahmad-syed"
Sher MATCHES FOR "afzal-ahmad-syed"
Sher
mai.n chaahtaa huu.n mujhe mash.alo.n ke saath jalaa
kushaada-tar hai agar KHema-e-havaa tujh pe
Afzal Ahmad Syed
Sher
mai.n dil ko us kii taGaaful-saraa se le aayaa
aur apne KHaana-e-vahshat me.n zer-e-daam rakhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
kitaab-e-KHaak pa.Dhii zalzale kii raat us ne
shaguft-e-gul ke zamaane me.n vo yaqii.n laayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
kitaab-e-umr se sab harf u.D ga.e mere
ki mujh asiir ko honaa hai ham-kalaam us kaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
kamaan-e-shaaKH se gul kis hadaf ko jaate hai.n
nasheb-e-KHaak me.n jaa kar mujhe KHayaal aayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
ataa usii kii hai ye shahd o shor kii taufiiq
vahii galiim me.n ye naan-e-be-javii.n laayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
kamaan-e-KHaana-e-aflaak ke muqaabil bhii
mai.n us se aur vo phir kaj-kulaah mujh se hu.aa
Afzal Ahmad Syed
Sher
is dil ko kisii dast-e-adaa-sanj me.n rakhnaa
mumkin hai ye miizaan-e-kam-o-besh jalaa de
Afzal Ahmad Syed
Sher
use ajab thaa Guruur-e-shaguft-e-ruKHsaarii
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kahaa us ne