SEARCH RESULTS
Showing search results for "agyaar"
Sher MATCHES FOR "agyaar"
Sher
aish ke yaar to aGyaar bhii ban jaate hai.n
dost vo hai.n jo bure vaqt me.n kaam aate hai.n
Unknown
Sher
aashiqii kaa ho buraa us ne bigaa.De saare kaam
ham to a.b me.n rahe aGyaar b.a ho ga.e
Akbar Allahabadi
Sher
samjhe.nge na aGyaar ko aGyaar kahaa.n tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kahe.nge
Zaheer Dehlvi
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa
Jafar Malihabadi
Sher
aGyaar kyuu.n daKHiil hai.n bazm-e-suruur me.n
maanaa ki yaar kam hai.n par itne to kam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
kal tum jo bazm-e-Gair me.n aa.nkhe.n churaa ga.e
kho.e ga.e ham aise ki aGyaar paa ga.e
Momin Khan Momin
Sher
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zof se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
raaz-e-nihaa.n zabaan-e-aGyaar tak na pahu.nchaa
kyaa ek bhii hamaaraa KHat yaar tak na pahu.nchaa
Momin Khan Momin
Sher
aGyaar ko gul-pairahanii ham ne ataa kii
apne liye phuulo.n kaa kafan ham ne banaayaa
Nushur Wahidi
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
zo.af me.n ta.ana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Unknown
Sher
sikka apnaa nahii.n jamtaa hai tumhaare dil par
naqsh aGyaar ke kis taur se jam jaate hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
aGyaar kaa shikva nahii.n is ahd-e-havas me.n
ik umr ke yaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
hamaare marg pe shaadii abas aGyaar karte hai.n
jahaa.n se rafta-rafta ek din un ko bhii jaanaa hai
Mardan Ali Khan Rana
Sher
jaate ho sair-e-baaG ko aGyaar saath ho
jo hukm ho to ye bhii gunahgaar saath ho
Meer Mohammadi Bedar
Sher
qahr hai zahr hai aGyaar ko laanaa shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanaa shab-e-vasl
Zaheer Dehlvi
Sher
tuu ne aGyaar se aa.iina ma.ngaa kar dekhaa
dil me.n aataa hai ki ab mu.nh na dikhaa.e.n tujh ko