SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahd-e-alast"
Sher MATCHES FOR "ahd-e-alast"
Sher
ahd-e-shabaab-e-rafta kyaa ahd-e-pur-fazaa thaa
jiine kaa bhii mazaa thaa marne kaa bhii mazaa thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
jis din mai-e-alast kii mauj aa ga.ii mujhe
ra.ng duu.ngaa ek rang me.n saare jahaa.n ko me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
ahd-e-aaGaaz-e-tamannaa bhii mujhe yaad nahii.n
mahv-e-hairat huu.n ki itnaa bhii mujhe yaad nahii.n
Shaukat Pardesi
Sher
Anees Ahmad Anees
Sher
bas ek baar hii to.Daa jahaa.n ne ahd-e-vafaa
kisii se ham ne phir ahd-e-vafaa kiyaa hii nahii.n
Ibrahim Ashk
Sher
hai.n in me.n band kisii ahd-e-rast-KHez ke aks
ye merii aa.nkhe.n ajaa.ib-gharo.n me.n rakh aanaa
Farhan Salim
Sher
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqiin rakhte hai.n
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
shikast-e-‘ahd-e-tamanna kii kyaa shikaayat ho
hamaare KHvaab hii ham se gurez-paa nikle
Tasneem Abidi
Sher
fareb-e-ahd-e-mohabbat kii saadgii kii qasam
vo jhuuT bol ki sach ko bhii pyaar aa jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
tark-e-ta.alluqaat kaa kuchh un ko Gam nahii.n
ham to shikast-e-ahd-e-vafaa se maluul hai.n