SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahl-e-fanaa"
Sher MATCHES FOR "ahl-e-fanaa"
Sher
is jahaa.n me.n nahii.n ko.ii ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaa.n se kinaaraa karo
Fana bulandshahri
Sher
tuu kuchh to mire zabt-e-mohabbat kaa sila de
ha.ngaam-e-'fanaa' diida-e-pur-nam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
zindagii naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa'
raah-rau aur bhii thak jaataa hai aaraam ke ba.ad
Fana Nizami Kanpuri
Sher
qaid-e-Gam-e-hayaat bhii kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na sakii umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
ahl-e-Gam tum ko mubaarak ho fanaa-aamaadgii
lekin iisaar-e-mohabbat jaan de denaa nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
'saabir' teraa kalaam sune.n kyuu.n na ahl-e-fan
bandish ajab hai aur ajab bol chaal hai
Fazal Husain Sabir
Sher
bolii lagii mata-e-hunar kii to ahl-e-fan
jaldii me.n apne KHvaab bhii niilaam kar ga.e
Syed Anwar Ahmad
Sher
daulat-e-faqr-o-fanaa se hai.n tava.ngar ham log
juutiyaa.n maare.n hai.n iqbaal ke sar par ham log
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazuu me.n suKHan-var rakh diye