SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahl-e-zar"
Sher MATCHES FOR "ahl-e-zar"
Sher
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazuu me.n suKHan-var rakh diye
Bakhsh Layalpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
maal-o-zar ahl-e-duval saamne yuu.n ginte hai.n
ham faqiiro.n ne na kuchh sarf kiyaa ho jaise
Salik Lakhnavi
Sher
Hami Gorakhpuri
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
maal-o-zar kii qadr kyaa? KHuun-e-jigar ke saamne
ahl-e-duniyaa hech hai.n ahl-e-hunar ke saamne
Talib Husain Talib
Sher
jaataa huu.n suu-e-vaadii-e-Gurbat ba-haal-e-zaar
ahl-e-vatan mu.aaf ho meraa kahaa-sunaa
Unknown
Sher
KHazaana-e-zar-o-gauhar pe KHaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat hai.n dil nikaal ke rakh
Iftikhar Arif
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
chal suu-e-gor-e-gariibaa.n ai hariis-e-maal-o-zar
dekh kitnii aarzuu.e.n nazr-e-madfan ho ga.ii.n
Auj lakhnavi
Sher
Javed Vashisht
Sher
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
bas yuu.nhii ham-sarii-e-ahl-e-jahaa.n mumkin hai
dam-ba-dam apnii bulandii se utartaa jaa.uu.n