SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahvaal"
Sher MATCHES FOR "ahvaal"
Sher
hamaare shahr ke logo.n kaa ab ahvaal itnaa hai
kabhii aKHbaar pa.Dh lenaa kabhii aKHbaar ho jaanaa
Ada Jafarey
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
'Gaalib' tiraa ahvaal sunaa de.nge ham un ko
vo sun ke bulaa le.n ye ijaaraa nahii.n karte
Mirza Ghalib
Sher
ahvaal kyaa bayaa.n mai.n karuu.n haa.e ai tabiib
hai dard us jagah ki jahaa.n kaa nahii.n ilaaj
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
Athar Nafees
Sher
hamaare zaahirii ahvaal par na jaa ham log
qayaam apne KHad-o-KHaal me.n nahii.n karte
Azhar Faragh
Sher
KHudaavandaa karam kar fazl kar ahvaal par mere
nazar kar aap par mat kar nazar afa.aal par mere
Abroo Shah Mubarak
Sher
hosh u.D jaa.e.nge ai zulf-e-pareshaa.n tere
gar mai.n ahvaal likhaa apnii pareshaanii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHudaa kii den kaa muusaa se puuchhiye ahvaal
ki aag lene ko jaa.e.n payambarii mil jaa.e
Muztar Khairabadi
Sher
na pa.Dhaa yaar ne ahvaal-e-shikasta meraa
KHat ke purze kiye baazuu-e-kabuutar to.Daa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
dil se kyaa puuchhtaa hai zulf-e-girah-giir se puuchh
apne diivaane kaa ahvaal tuu zanjiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
Ishq Aurangabadi
Sher
ahvaal-e-'miir' kyuu.nkar aaKHir ho ek shab me.n
ik umr ham ye qissa tum se kahaa kare.nge
Meer Taqi Meer
Sher
kah sakte to ahvaal-e-jahaa.n tum se hii kahte
tum se to kisii baat kaa pardaa bhii nahii.n thaa
Aziz Hamid Madni
Sher
daaG-e-jigar kaa apne ahvaal kyaa sunaa.uu.n
bharte hai.n us ke aage sham-o-charaaG paanii