SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahvaal"
Ghazal MATCHES FOR "ahvaal"
Ghazal
ahl-e-mahfil pe kab ahvaal khulaa hai apnaa
mai.n bhii KHaamosh rahaa us ne bhii pursish nahii.n kii
Ahmad Faraz
Ghazal
sab kaa ahvaal vahii hai jo hamaaraa hai aaj
ye alag baat ki shikva kiyaa tanhaa ham ne
Shahryar
Ghazal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
ahvaal-e-mohabbat me.n kuchh farq nahii.n aisaa
soz o tab-o-taab avval soz o tab-o-taab aaKHir
Allama Iqbal
Ghazal
vo bhii sar-e-maqtal hai ki sach jis kaa thaa shaahid
aur vaaqif-e-ahvaal-e-adaalat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Ghazal
Azm Bahzad
Ghazal
hamaare shahr ke logo.n kaa ab ahvaal itnaa hai
kabhii aKHbaar pa.Dh lenaa kabhii aKHbaar ho jaanaa
Ada Jafarey
Ghazal
KHuu.n hai dil KHaak me.n ahvaal-e-butaa.n par ya.anii
un ke naaKHun hu.e mohataaj-e-hinaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Ghazal
ham ki jis shahr me.n the sog-nashiin-e-ahvaal
roz us shahr me.n ham dhuum machaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Ghazal
Syed Shakeel Desnavi
Ghazal
allaah re tiraa ro'b ki ahvaal-e-dil apnaa
de dete hai.n ham kar ke raqam kah nahii.n sakte
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
lab pe paabandii to hai ehsaas par pahraa to hai
phir bhii ahl-e-dil ko ahvaal-e-bashar kahnaa to hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
pur-haal huu.n pa suurat-e-ahvaal kuchh nahii.n
hairat hai mere paas nazar kis ke paas hai
Jaun Eliya
Ghazal
puuchhaa thaa garche yaar ne ahvaal-e-dil magar
kis ko dimaaG-e-minnat-e-guft-o-shunuud thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
'jaalib' na aa.egaa ko.ii ahvaal puuchhne
de.n shahr-e-be-hisaa.n me.n sadaa.e.n kisii ko kyaa
Habib Jalib
Ghazal
shaayad ki kaam sub.h tak apnaa khi.nche na 'miir'
ahvaal aaj shaam se darham bahut hai yaa.n