SEARCH RESULTS
Showing search results for "ajal"
Sher MATCHES FOR "ajal"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
zindagii jin ke tasavvur se jilaa paatii thii
haa.e kyaa log the jo daam-e-ajal me.n aa.e
Nasir Kazmi
Sher
ai ajal ek din aaKHir tujhe aanaa hai vale
aaj aatii shab-e-furqat me.n to ehsaa.n hotaa
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
is dard kaa ilaaj ajal ke sivaa bhii hai
kyuu.n chaarasaaz tujh ko ummiid-e-shifaa bhii hai
Fani Badayuni
Sher
na miT sakaa na miTegaa kabhii nishaa.n meraa
liyaa ajal ne ka.ii baar imtihaa.n meraa
Jigar Barelvi
Sher
KHudaa jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egaa
giraftaar-e-qafas par yaa giraftaar-e-nasheman par
Yagana Changezi
Sher
Shad Azimabadi
Sher
har dam dam-e-aaKHir hai ajal sar pe kha.Dii hai
dam-bhar bhii ham is dam kaa bharosa nahii.n karte
Mardan Ali Khan Rana
Sher
tujhe bhii dekh liyaa ham ne o KHudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhii to ahl-e-Gam pe chalaa
Jafar Tahir
Sher
hayaat ho ki ajal sab se kaam le Gaafil
ki muKHtasar bhii hai kaar-e-jahaa.n daraaz bhii hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
jo kaam karne hai.n us me.n na chaahiye taaKHiir
kabhii payaam ajal naa-gahaa.n bhii aataa hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
isii qadar hai hayaat o ajal ke biich kaa farq
ye ek dhuup kaa dariyaa vo ik kinaara-e-shaam
Ain Tabish
Sher
ham vo daraKHt hai.n ki jise dam-ba-dam ajal
arra idhar dikhaatii hai uudhar tabar qazaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
khaa.iye ye zahar kab tak khaa.e jaatii hai ye ziist
ai ajal kab tak rahe.nge rahn-e-aab-o-daana ham