SEARCH RESULTS
Showing search results for "akkha.d"
Sher MATCHES FOR "akkha.d"
Sher
zamii.n pe paa.nv zaraa ehtiyaat se dharnaa
ukha.D ga.e to qadam phir kahaa.n sambhalte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
apne daraaz-qad pe bahut naaz thaa jinhe.n
vo pe.D aa.ndhiyo.n me.n zamii.n se ukha.D ga.e
Nafas Ambalvi
Sher
KHema-e-jaa.n kii tanaabo.n ko ukha.D jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa Gam bhii bichha.D jaanaa thaa
Najeeb Ahmad
Sher
is qadar tez na chal saa.ns ukha.D jaa.egaa
tai na kar raah-e-talab ek hii raftaar se tuu
Shahzad Ahmad
Sher
ko.ii patthar kaa nishaa.n rakh ke judaa ho.n ham tum
jaane ye pe.D kis aa.ndhii me.n ukha.D jaa.egaa
Alimullah Hali
Sher
aataa hai mohtasib pa.e-ta.aziir mai-kasho
pag.Dii ko us kii phe.nk do daa.Dhii ko lo ukhaa.D
Taban Abdul Hai
Sher
zikr-e-sharaab-e-naab pe vaa.iz ukha.D gayaa
bole the achchhii baat bhale aadmii se ham
Natiq Gulavthi
Sher
mai.n ne ukhaa.D phe.nke hai.n baazuu se aise par
jo bojh the kabhii mirii uu.nchii u.Daan me.n
Armaan Jodhpuri
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shajar pe baiThe parindo.n kaa shor kaaTtaa hai
daraKHt ko mire ghar se ukhaa.D de ko.ii
Sharib Mauranwi
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
bachpan me.n ham hii the yaa thaa aur ko.ii
vahshat sii hone lagtii hai yaado.n se
Abdul Ahad Saaz
Sher
aaj bhii naqsh hai.n dil par tirii aahaT ke nishaa.n
ham ne us raah se auro.n ko guzarne na diyaa
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
dost ahbaab se lene na sahaare jaanaa
dil jo ghabraa.e samundar ke kinaare jaanaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
daad-o-tahsiin kii bolii nahii.n tafhiim kaa naqd
shart kuchh to mire bikne kii munaasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Sher
KHayaal kyaa hai jo alfaaz tak na pahu.nche 'saaz'
jab aa.nkh se hii na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Abdul Ahad Saaz
Sher
kisii hasii.n se lipaTnaa ashad zaruurii hai
hilaal-e-iid to ko.ii subuut-e-iid nahii.n