SEARCH RESULTS
Showing search results for "al-amaan"
Sher MATCHES FOR "al-amaan"
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
aisii havaa bahii ki hai chaaro.n taraf fasaad
juz saaya-e-KHudaa kahii.n daar-ul-amaa.n nahii.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ajab tarah kii hai duniyaa ba-ra.ng-e-buu-qalamuu.n
ki hai har ek judaagaana al-amaa.n tanhaa
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
aap idhar aa.e udhar diin aur iimaan ga.e
iid kaa chaa.nd nazar aayaa to ramzaan ga.e
Shuja Khaavar
Sher
vaqt aane de dikhaa de.nge tujhe ai aasmaa.n
ham abhii se kyuu.n bataa.e.n kyaa hamaare dil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
yahii hai ibaadat yahii diin o iimaa.n
ki kaam aa.e duniyaa me.n insaa.n ke insaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
ai aasmaan harf ko phir e.atibaar de
varna haqiiqato.n ko kahaanii likhe.nge log
Anjum Barabankvi
Sher
lamha-e-imkaan ko pahluu badalte dekhnaa
aatish-e-be-ra.ng me.n KHud ko pighalte dekhnaa
Tanveer Anjum
Sher
merii betaabii kii mushkil aap aasaa.n ho ga.ii
ba.Dh gayaa dard-e-dil-e-betaab to kam ho gayaa
Unknown
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
zaahid ne miraa haasil-e-iimaa.n nahii.n dekhaa
ruKH par tirii zulfo.n ko pareshaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
Asghar Gondvi
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
ik umr sunaa.e.n to hikaayat na ho puurii
do roz me.n ham par jo yahaa.n biit ga.ii hai
Habib Jalib
Sher
ai aasmaa.n kis liye is darja barhamii
ham ne to tirii samt ishaaraa nahii.n kiyaa