SEARCH RESULTS
Showing search results for "al-haq"
Sher MATCHES FOR "al-haq"
Sher
a.ndherii shaam thii baadal baras na paa.e the
vo mere paas na thaa aur mai.n khul ke royaa thaa
Mohammad Izhar ul Haq
Sher
kaalaa na sahii laal sahii til to banaa hai
achchhaa hu.aa machchhar ne tire gaal pe kaaTaa
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
ghiraa hu.aa huu.n janam-din se is ta.aaqub me.n
zamiin aage hai aur aasmaa.n mire piichhe
Mohammad Izhar ul Haq
Sher
ek gaahak ko zaruurat toilet paper kii thii
mai.n ne us ko de diyaa hai is ke badle reg-maal
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
mai.n jise hiir samajhtaa thaa vo raa.njhaa niklaa
baat niyyat kii nahii.n baat hai biinaa.ii kii
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
mehmaan-navaazii to bahut hotii hai lekin
cigarette kii jo haajat ho to garage me.n jaa.e.n
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
tiraa paa.nv shaam pe aa gayaa thaa ki chaa.nd thaa
tiraa hijr sub.h ko jal uThaa thaa ki phuul thaa
Mohammad Izhar ul Haq
Sher
Mohammad Izhar ul Haq
Sher
vo bharii bazm me.n kahtii hai mujhe uncle-jii
diplomacy hai ye kaisii mirii ham-saa.ii kii
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
KHush hote hai.n ham log agar ko.ii hasiina
is umr ham par ko.ii tohmat hii lagaa.e
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
doctor se mai.n ilaaj-e-dil karaane jab gayaa
mashvara us ne diyaa tuu sher kahnaa chho.D de
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
kahte hai.n ki lailaa kaa ta'alluq thaa arab se
ye rang to africa o makraan me.n dekhaa
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
tum ne to kahaa thaa ki chalo Duub mare.n ham
ab saahil-e-dariyaa pe kha.De karte ho Taa-Taa
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
baap kii tambiih par beTaa ba.De Gusse me.n thaa
us ne Dail-phone se phir nau-sau-gyaarah kar diyaa
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
use ab bhuul jaane kaa iraada kar liyaa hai
bharosa Gaaliban KHud par ziyaada kar liyaa hai