SEARCH RESULTS
Showing search results for "alaava"
Sher MATCHES FOR "alaava"
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
buraa bure ke alaava bhalaa bhii hotaa hai
har aadmii me.n ko.ii duusraa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Sher
mere alaava use KHud se bhii mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahii.n hotii
Balmohan panday
Sher
yaa tere alaava bhii kisii shai kii talab hai
yaa apnii mohabbat pe bharosaa nahii.n ham ko
Shahryar
Sher
kabhii 'faraaz' se aa kar milo jo vaqt mile
ye shaKHs KHuub hai ash.aar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
ye zindagii kuchh bhii ho magar apne liye to
kuchh bhii nahii.n bachcho.n kii sharaarat ke alaava
Abbas Tabish
Sher
Allama Iqbal
Sher
tumhe.n baa-vafaa jaan.ne ke alaava
mujhe kuchh Galat-fahmiyaa.n aur bhii hai.n
Arshadi Badayuni
Sher
ujaa.D ghar me.n ye KHushbuu kahaa.n se aa.ii hai
ko.ii to hai dar-o-diivaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
raat kamre me.n na thaa mere alaava ko.ii
mai.n ne is KHauf se KHanjar na sirhaane rakkhaa
Abbas Tabish
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
vo ye kah kah ke jalaataa thaa hamesha mujh ko
aur Dhuu.nDegaa kahii.n mere alaava mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
mire alaava sabhii log ab ye maante hai.n
Galat nahii.n thii mirii raa.e us ke baare me.n
Shahram Sarmadi
Sher
hijrat kii gha.Dii ham ne tire KHat ke alaava
bosiida kitaabo.n ko bhii saamaan me.n rakkhaa
Iftikhar Shafi
Sher
tumhe.n tumhaare alaava bhii kuchh nazar aa.e
gar apne aa.ina-KHaano.n se tum nikal aa aa.o