SEARCH RESULTS
Showing search results for "alif"
Sher MATCHES FOR "alif"
Sher
raaste aur tavaazo.a me.n hai rabt-e-qalbii
jis tarah laam alif me.n hai alif laam me.n hai
Ameer Minai
Sher
aashiq se naak-bhau.n na cha.Dhaa o kitaab-ruu
ham dars-e-ishq me.n ye alif bhii pa.Dhe nahii.n
Imdad Ali Bahr
Sher
vo dekho log shiin alif 'ain re hu.e
ham 'ain shiin qaaf me.n uljhe hii rah ga.e
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
du.aa.e.n yaad karaa dii ga.ii thii.n bachpan me.n
so zaKHm khaate rahe aur du.aa diye ga.e ham
Iftikhar Arif
Sher
miTTii kii mohabbat me.n ham aashufta-saro.n ne
vo qarz utaare hai.n ki vaajib bhii nahii.n the
Iftikhar Arif
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
raas aane lagii duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard kii daulat nahii.n milne vaalii