SEARCH RESULTS
Showing search results for "amla"
Sher MATCHES FOR "amla"
Sher
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram me.n ham
is samt kufr us taraf islaam le gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
qaamat hii likhaa ham ne sadaa jaa-e-qayaamat
qaamat ne bhulaayaa tire imlaa-e-qayaamat
Anwar Dehlvi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
tum se mil kar imlii miiThii lagtii hai
tum se bichha.D kar shahad bhii khaaraa lagtaa hai
Kaif Bhopali
Sher
aabla-paa ko.ii is dasht me.n aayaa hogaa
varna aa.ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa
Meena Kumari Naz
Sher
KHush hai.n to phir musaafir-e-duniyaa nahii.n hai.n aap
is dasht me.n bas aabla-paa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Sher
bahaa hai phuuT ke aa.nkho.n se aabla dil kaa
tarii kii raah se jaataa hai qaafila dil kaa
Dulhan Begum
Sher
Shahid Zaki
Sher
lab pe kaa.nTo.n ke hai fariyaad-o-bukaa mere baad
ko.ii aayaa hii nahii.n aabla-paa mere baad
Anwar Sabri
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
libaas dekh ke itnaa hame.n Gariib na jaan
hamaaraa Gam tirii imlaak se ziyaada hai
Azeem Haider Syed
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
mujhe yaqii.n to bahut thaa magar Galat niklaa
ki aabla kabhii paa-posh me.n nahii.n aataa
Farhat Ehsas
Sher
Aazim Kohli
Sher
tez rakhiyo sar-e-har-KHaar ko ai dasht-e-junuu.n
shaayad aa jaa.e ko.ii aabla-paa mere ba.ad