SEARCH RESULTS
Showing search results for "anaa.dii"
Sher MATCHES FOR "anaa.dii"
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Sher
lahuu vatan ke shahiido.n kaa rang laayaa hai
uchhal rahaa hai zamaane me.n naam-e-aazaadii
Firaq Gorakhpuri
Sher
Fani Badayuni
Sher
Muneer Niyazi
Sher
maayuus dilo.n ko ab chhe.Do bhii to kyaa haasil
TuuTe hu.e paimaane fariyaad nahii.n karte
Figar Unnavi
Sher
kyaa karishma hai mire jazba-e-aazaadii kaa
thii jo diivaar kabhii ab hai vo dar kii suurat
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
kisii ke ho raho achchhii nahii.n ye aazaadii
kisii kii zulf se laazim hai silsila dil kaa
Yagana Changezi
Sher
na hogaa raa.egaa.n KHuun-e-shahiidaan-e-vatan hargiz
yahii surKHii banegii ek din unvaan-e-aazaadii
Nazish Partap Gadhi
Sher
na jaane KHatm hu.ii kab hamaarii aazaadii
ta.alluqaat kii paabandiyaa.n nibhaate hu.e
Azhar Iqbal
Sher
dil hai miraa ra.ngiinii-e-aaGaaz pe maa.il
nazro.n me.n abhii jaam hai anjaam nahii.n hai
Figar Unnavi
Sher
fazaa kaa ta.ng honaa fitrat-e-aazaad se puuchho
par-e-parvaaz hii kyaa jo qafas ko aashiyaa.n samjhe
Figar Unnavi
Sher
vahii jiine kii aazaadii vahii marne kii jaldii hai
divaalii dekh lii ham ne dasahre kar liye ham ne
Saqi Faruqi
Sher
Aslam Emadi
Sher
ik teraa aasraa hai faqat ai KHayaal-e-dost
sab bujh ga.e charaaG shab-e-intizaar me.n