SEARCH RESULTS
Showing search results for "andaaz-e-guftuguu"
Sher MATCHES FOR "andaaz-e-guftuguu"
Sher
sukuut vo bhii musalsal sukuut kyaa ma.anii
kahii.n yahii tiraa andaaz-e-guftuguu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
har ek baat pe kahte ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
phir dekhiye andaaz-e-gul-afshaanii-e-guftaar
rakh de ko.ii paimaana-e-sahbaa mere aage
Mirza Ghalib
Sher
mauzuu-e-guftuguu to mirii jaa.n kuchh aur thaa
dauraan-e-guftuguu me.n terii baat aa ga.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
mauzuu'-e-guftuguu to hai jinsii jamaaliyaat
aur markaz-e-KHayaal tumhaaraa hii jism hai
Zubair Ahmad Saani
Sher
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
hai ek baat jo mauzuu-e-guftuguu bantii
mile jo aap to kam-baKHt yaad hii na rahii
Raza Naqvi Vahi
Sher
dekhaa ye aap ne miraa andaaz-e-KHud-kushii
KHud apne dushmano.n kaa taraf-daar mai.n hii thaa
Waliul Haq
Sher
andaaz-e-bayaa.n garche bahut shoKH nahii.n hai
shaayad ki utar jaa.e tire dil me.n mirii baat
Allama Iqbal
Sher
ik andaaz-e-vaaraftagii hai na puuchho
kise dekhtaa huu.n kahaa.n dekhtaa huu.n
Hirman Khairabadi
Sher
asl me.n ham the tumhaare saath mahv-e-guftuguu
jab KHud apne aap se ham guftuguu karte rahe
Jagan Nath Azad
Sher
KHud apne hone kaa har ik nishaa.n miTaa Daalaa
'shanaas' phir kahii.n mauzuu-e-guftuguu hu.e ham