SEARCH RESULTS
Showing search results for "andaaz-e-guftuguu"
Ghazal MATCHES FOR "andaaz-e-guftuguu"
Ghazal
andaaz-e-guftuguu ko bhii takraar mat bataa
hargiz zabaa.n ko tiir-o-talvaar mat bataa
Anwar Khan Anwar
Ghazal
maayuusiyo.n kaa aalam andaaz-e-guftuguu me.n
naakaamiyo.n kaa maatam iz.haar-e-aarzuu me.n
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
sukuut-e-naaz ko andaaz-e-guftuguu de kar
kisii kii chashm-e-suKHanvar mirii talaash me.n hai
Badr Shamsi
Ghazal
bahut baliiG hai andaaz-e-guftuguu us kaa
har ek lafz me.n ik daastaan rakhtaa hai
Tahir Tilhari
Ghazal
aalam sunaa jo naaz kaa hai us se al-amaa.n
andaaz-e-guftuguu se KHudaa kii panaah hai
Mirza Ali Lutf
Ghazal
shiirii.n thaa kitnaa aap kaa andaaz-e-guftuguu
do-chaar sikke aate hii lahja badal gayaa
Bashir Mehtaab
Ghazal
shoKHii jo barq kii hai garmii sharaar kii hai
kuchh kah rahaa hai muusaa andaaz-e-guftuguu kaa
Riyaz Khairabadi
Ghazal
KHamosh rah ke tire tund-o-talKH lahje par
badal diyaa tiraa andaaz-e-guftuguu ham ne
Naseer Koti
Ghazal
badlaa hu.aa zaruur hai andaaz-e-guftuguu
chhuptii nahii.n hai.n aap ke lahje kii talKHiyaa.n
Faizi Nizam Puri
Ghazal
diyaa thaa izn-e-takallum jise kabhii mai.n ne
sikhaa rahaa hai vo andaaz-e-guftuguu mujh ko
Ali Qaisar
Ghazal
vo ek shoKH kaa andaaz-e-guftuguu 'taabaa.n'
jigar me.n tanz kaa nashtar utar utar saa gayaa
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
zaahir me.n Thiik-Thaak hai har ek aadmii
andaaz-e-guftuguu me.n bikharne kaa Dar bhii hai
Charan Singh Bashar
Ghazal
tumhaaraa naam hai 'ashraf' suKHan-taraaz magar
tumhii.n kaho ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai
Ashraf Ali Ashraf
Ghazal
KHudaa pe teraa ijaara nahii.n hai shaiKH-e-haram
to phir bataa ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai