SEARCH RESULTS
Showing search results for "andaaz-e-hijaab"
Sher MATCHES FOR "andaaz-e-hijaab"
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
phir dekhiye andaaz-e-gul-afshaanii-e-guftaar
rakh de ko.ii paimaana-e-sahbaa mere aage
Mirza Ghalib
Sher
naqaab uThaa.o to har shai ko paa.oge saalim
ye kaa.enaat ba-taur-e-hijaab TuuTtii hai
Mashkoor Husain Yaad
Sher
manzile.n gard ke maanind u.Dii jaatii hai.n
vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraa.n hai ki jo thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Haneef akhgar
Sher
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
har ek baat pe kahte ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ab aa.o rakh luu.n chhupaa kar tumhe.n kaleje me.n
hu.e ho KHair se sharm o hijaab ke qaabil
Jaleel Manikpuri
Sher
andaaz-e-bayaa.n garche bahut shoKH nahii.n hai
shaayad ki utar jaa.e tire dil me.n mirii baat
Allama Iqbal
Sher
'saif' andaaz-e-bayaa.n rang badal detaa hai
varna duniyaa me.n ko.ii baat na.ii baat nahii.n