SEARCH RESULTS
Showing search results for "arbaab"
Sher MATCHES FOR "arbaab"
Sher
aazaad to barso.n se hai.n arbaab-e-gulistaa.n
aa.ii na magar taaqat-e-parvaaz abhii tak
Wahid Premi
Sher
ab jafaa se bhii hai.n mahruum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
ruuh arbaab-e-mohabbat kii laraz jaatii hai
tuu pashemaan na ho apnii jafaa yaad na kar
Fani Badayuni
Sher
roz aapas me.n la.Daa karte hai.n arbaab-e-KHirad
ko.ii diivaana ulajhtaa nahii.n diivaane se
Anwar Sabri
Sher
dar-haqiiqat ittisaal-e-jism-o-jaa.n hai zindagii
ye haqiiqat hai ki arbaab-e-himam ke vaaste
Aatish Bahawalpuri
Sher
kaise hai.n KHaanqaah me.n arbaab-e-KHaanqaah
kis haal me.n hai piir-e-muGaa.n dekhte chale.n
Makhdoom Mohiuddin
Sher
haadsaat-e-dahr me.n vaabasta-e-arbaab-e-dard
lii jahaa.n karvaT kisii ne inqalaab aa hii gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
karte hai.n arbaab-e-dil andaaza-e-josh-e-bahaar
meraa daaman dekh kar meraa garebaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
israaf ne arbaab-e-tamavvul ko Duboyaa
aalim ko tafaaKHur ne to zaahid ko riyaa ne
Ismail Merathi
Sher
Hasan Naim
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
merii rusvaa.ii ke asbaab hai.n mere andar
aadmii huu.n so bahut KHvaab hai.n mere andar
Asad Badayuni
Sher
bataa.uu.n aap ko marne ke baa'd kyaa hogaa
polaa.o khaa.e.nge ahbaab faatiha hogaa
Akbar Allahabadi
Sher
aate hai.n ayaadat ko to karte hai.n nasiihat
ahbaab se Gam-KHvaar hu.aa bhii nahii.n jaataa
Fani Badayuni
Sher
is vahm se ki nii.nd me.n aa.e na kuchh KHalal
ahbaab zer-e-KHaak sulaa kar chale ga.e