SEARCH RESULTS
Showing search results for "arbada-juu"
Sher MATCHES FOR "arbada-juu"
Sher
iraada thaa jii luu.ngaa tujh se bichha.D kar
guzartaa nahii.n ik december akele
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ye imtiyaaz zaruurii hai ab ibaadat me.n
vahii du.aa jo nazar kar rahii hai lab bhii kare.n
Abhishek Shukla
Sher
jaa-namaazo.n kii tarah nuur me.n ujlaa.ii sahar
raat bhar jaise farishto.n ne ibaadat kii hai
Rahat Indori
Sher
haadse raah ke zevar hai.n musaafir ke liye
ek Thokar jo lagii hai to iraada na badal
Tahir Faraz
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
mujhe to un kii ibaadat pe rahm aataa hai
jabii.n ke saath jo sajde me.n dil jhukaa na sake
Khumar Barabankavi
Sher
jo saath laa.e the ghar se vo kho gayaa hai kahii.n
iraada varna hamaaraa bhii vaapsii kaa thaa
Aftab Shamsi
Sher
saath jo de na sakaa raah-e-vafaa me.n apnaa
be-iraada bhii use yaad kiyaa hai barso.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
ik kaj-adaa se ham ne jo va.ada hai kar liyaa
us ko nibhaane kaa bhii iraada hai kar liyaa
Hina Ambareen Tariq
Sher
jab aap hii ko paas nahii.n rasm-o-raah kaa
kyaa faa.eda jo ho bhii iraada nibaah kaa
Rahmat Azimabadi
Sher
Fani Badayuni
Sher
mai.n us kii dhun me.n na.e raaste pe jaa niklii
dayaar-e-jaa.n se mirii roz jo guzartaa rahaa
Abida Karamat
Sher
is me.n aalam kii sab aabaadii o viiraana hai
ye jo kuchh paanii se baahar hai zamii.n tho.Dii sii