SEARCH RESULTS
Showing search results for "arbada-juu"
Ghazal MATCHES FOR "arbada-juu"
Ghazal
hotaa hai tujhe dekh ke KHush arbada-juu bhii
ai dost mohabbat kii harii shaaKH hai tuu bhii
Josh Adeeb
Ghazal
sad-haif vo naakaam ki ik 'umr se 'Gaalib'
hasrat me.n rahe ek but-e-arbada-juu kii
Mirza Ghalib
Ghazal
ye adaa dekh ke kitno.n kaa hu.aa kaam tamaam
niimcha kal jo Tuk us arbada-juu kaa niklaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
jab arbada-juu tum ho to kyuu.n sabr sameTe.n
ham is me.n raqiibo.n kii sharaarat na kahe.nge
Zaheer Dehlvi
Ghazal
sadma-e-Gam se tire juu.n gul-baazii afsos
saare a.azaa mire ai arbada-juu TuuT ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
meraa shikva tirii mahfil me.n aduu karte hai.n
us pe bhii sabr ham ai arbada-juu karte hai.n
Aish Dehlvi
Ghazal
falak us dil-shikanii kaa to mazaa dekhegaa
ko.ii dil gar kabhii ai arbada-juu TuuT gayaa
Mirza Ali Lutf
Ghazal
baazii-e-murG me.n bhii haar rahii 'Gaafil' kii
tujh se jiitaa na vo ai arbada-juu paanii ek
Munawar Khan Ghafil
Ghazal
yakka-taaz o neza-baaz o arbada-juu tund-KHuu
teG-zan dashna-guzaar o naavak-afgan aap hai.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
'joshish' us arbada-juu turk-e-sitam-gaar ne aaj
aashtii kii hai ba.Dii ja.ng-o-jadal se ham se
Joshish Azimabadi
Ghazal
tumhaaraa husn hai merii ibaadat
jo tum aa.e to yaad aa.ii KHudaa kii
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Ghazal
dushmanii aur ba.Dhaane kaa iraada jo nahii.n
rakh ke kyo.n paa.nv pe dastaar uThaa.ii jaa.e
Ali Ejaz Tamimi
Ghazal
lauT aane kaa iraada jo nahii.n hai to phir
dil se har naqsh mohabbat kaa miTaate jaa.o
Gulfam Naqvi
Ghazal
aamad aamad hai magar mere sahii qaamat kii
baaG me.n har taraf istaada jo shamshaad hai.n sab
Naseem Dehlvi
Ghazal
kabhii jaane kaa iraada jo vo karte hai.n 'nizaam'
haa.e us vaqt kis armaan se ham dekhte hai.n
Nizam Rampuri
Ghazal
ek bijlii sii mirii aa.nkho.n ke andar kaundii
aur iraada jo hu.aa azm-e-safar se pahle